dar dariche ke bina aur kisi chhat ke baghair
dar darīche ke binā aur kisī chhat ke baġhair
ham tire shahr meñ sākin haiñ sukūnat ke baġhair
jang aisī hai abad tak bhī rahegī jaarī
mas.ala hal nahīñ honā hai qayāmat ke baġhair
ḳhāmushī jism pe chaḌhtī hai harārat kī tarah
roz ik shor utartā hai 'alāmat ke baġhair
saath meñ yaar bhī ho aur phir itvār bhī ho
baat bantī nahīñ cigarette kī ri'āyat ke baġhair
yaar kaise na ho merā ki mirā yaar mujhe
har tarah se hai qubūl aur vazāhat ke baġhair
dhyān rakhnā ki ye lahja hai hamārā lahja
pur-asar ho nahīñ saktā hai mohabbat ke baġhair
kaam aisā hai ki karnā hī paḌegā 'āmir'
chāhe teshe ke binā ho yā riyāzat ke baġhair
dar dariche ke bina aur kisi chhat ke baghair
hum tere shahr mein sakin hain sukunat ke baghair
jang aisi hai abad tak bhi rahegi jari
masala hal nahin hona hai qayamat ke baghair
KHamushi jism pe chaDhti hai hararat ki tarah
roz ek shor utarta hai 'alamat ke baghair
sath mein yar bhi ho aur phir itwar bhi ho
baat banti nahin cigarette ki ri'ayat ke baghair
yar kaise na ho mera ki mera yar mujhe
har tarah se hai qubul aur wazahat ke baghair
dhyan rakhna ki ye lahja hai hamara lahja
pur-asar ho nahin sakta hai mohabbat ke baghair
kaam aisa hai ki karna hi paDega 'amir'
chahe teshe ke bina ho ya riyazat ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.