dar-e-imkan khula rakkha hua hai
dar-e-imkāñ khulā rakkhā huā hai
hathelī par diyā rakkhā huā hai
nahīñ rakkhā kisī ne dil hamārā
to siine se lagā rakkhā huā hai
koī duniyā yahāñ lā kar na rakkhe
jahāñ maiñ ne ḳhudā rakkhā huā hai
zarā chhū kar mujhe mahsūs kar lo
mirī bātoñ meñ kyā rakkhā huā hai
yahāñ ik aa.ina rakkhā thā pahle
jahāñ ḳhauf-e-ḳhudā rakkhā huā hai
dar-e-imkan khula rakkha hua hai
hatheli par diya rakkha hua hai
nahin rakkha kisi ne dil hamara
to sine se laga rakkha hua hai
koi duniya yahan la kar na rakkhe
jahan main ne KHuda rakkha hua hai
zara chhu kar mujhe mahsus kar lo
meri baaton mein kya rakkha hua hai
yahan ek aaina rakkha tha pahle
jahan KHauf-e-KHuda rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.