dar-e-KHairaat pahle khol dena
dar-e-ḳhairāt pahle khol denā
mire hāthoñ meñ phir kashkol denā
haqīqat ko qalam se tol denā
na afsāne meñ koī jhol denā
jo dil meñ hai vo sach sach bol denā
hamāre raaz saare khol denā
na jab jur.at ho goyā.ī kī lab ko
zabān-e-chashm hī se bol denā
thakā-māñda jo maiñ lauTūñ kahīñ se
to darvāze kī kunDī khol denā
patā kuchh aur detā hai ḳhirad ko
junūñ kā dasht meñ par tol denā
havā aa.ī hai maazī ke chaman se
darīche dil ke saare khol denā
mire aañsū tire dāman ke motī
nahīñ mumkin hai jin kā mol denā
maiñ sun luuñ terī kaḌvī guftugū ko
mire kānoñ meñ amrit ghol denā
mirī āñkhoñ ko ye fan aa gayā hai
tire dāman meñ motī rol denā
dar-e-KHairaat pahle khol dena
mere hathon mein phir kashkol dena
haqiqat ko qalam se tol dena
na afsane mein koi jhol dena
jo dil mein hai wo sach sach bol dena
hamare raaz sare khol dena
na jab jurat ho goyai ki lab ko
zaban-e-chashm hi se bol dena
thaka-manda jo main lauTun kahin se
to darwaze ki kunDi khol dena
pata kuchh aur deta hai KHirad ko
junun ka dasht mein par tol dena
hawa aai hai mazi ke chaman se
dariche dil ke sare khol dena
mere aansu tere daman ke moti
nahin mumkin hai jin ka mol dena
main sun lun teri kaDwi guftugu ko
mere kanon mein amrit ghol dena
meri aankhon ko ye fan aa gaya hai
tere daman mein moti rol dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.