dar-e-nigar se jo ham-kanar guzri hai
dar-e-nigār se jo ham-kanār guzrī hai
vo shaam ho ki sahar ḳhush-gavār guzrī hai
ḳhizāñ ke haath se jo luT chukā hazāroñ baar
usī chaman se sahar mushk-bār guzrī hai
tire nafas se jahāñ mushk-bār guzrī hai
vahīñ hayāt baḌī ḳhush-gavār guzrī hai
rah-e-hayāt meñ aise bhī kuchh maqām aa.e
tumhārī chashm-e-ināyat bhī baar guzrī hai
jis aan ahl-e-junūñ apnī aan par haiñ miTe
savād-e-zīst meñ vo yādgār guzrī hai
bhaTakne vāloñ ko miltī nahīñ jahāñ se raah
vahīñ se chashm-e-junūñ baar baar guzrī hai
'zubair' zauq-e-safar ahl-e-shauq kā hai javāñ
rah-e-talab meñ qayāmat hazār guzrī hai
dar-e-nigar se jo ham-kanar guzri hai
wo sham ho ki sahar KHush-gawar guzri hai
KHizan ke hath se jo luT chuka hazaron bar
usi chaman se sahar mushk-bar guzri hai
tere nafas se jahan mushk-bar guzri hai
wahin hayat baDi KHush-gawar guzri hai
rah-e-hayat mein aise bhi kuchh maqam aae
tumhaari chashm-e-inayat bhi bar guzri hai
jis aan ahl-e-junun apni aan par hain miTe
sawad-e-zist mein wo yaadgar guzri hai
bhaTakne walon ko milti nahin jahan se rah
wahin se chashm-e-junun bar bar guzri hai
'zubair' zauq-e-safar ahl-e-shauq ka hai jawan
rah-e-talab mein qayamat hazar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.