dar-e-umid muqaffal nahin hua ab tak
dar-e-umīd muqaffal nahīñ huā ab tak
maiñ tere hijr meñ pāgal nahīñ huā ab tak
tamām umr ḳhushī saath de nahīñ paa.ī
nuzūl-e-ġham bhī musalsal nahīñ huā ab tak
tire baġhair jo ik mas.ala banā huā thā
to mil gayā bhī to vo hal nahīñ huā ab tak
maiñ us ko bhuul chukā huuñ ajiib baat hai ye
jo chehra aañkh se ojhal nahīñ huā ab tak
taġhayyurāt ne dastūr sab badal Daale
usūl-e-ishq mo.attal nahīñ huā ab tak
na jaane kaun musavvir banā rahā hai mujhe
mirā vajūd mukammal nahīñ huā ab tak
ye tere ishq kī tauhīn hai parī-zādī
maiñ terī yaad meñ bekal nahīñ huā ab tak
dar-e-umid muqaffal nahin hua ab tak
main tere hijr mein pagal nahin hua ab tak
tamam umr KHushi sath de nahin pai
nuzul-e-gham bhi musalsal nahin hua ab tak
tere baghair jo ek masala bana hua tha
to mil gaya bhi to wo hal nahin hua ab tak
main us ko bhul chuka hun ajib baat hai ye
jo chehra aankh se ojhal nahin hua ab tak
taghayyuraat ne dastur sab badal Dale
usul-e-ishq moattal nahin hua ab tak
na jaane kaun musawwir bana raha hai mujhe
mera wajud mukammal nahin hua ab tak
ye tere ishq ki tauhin hai pari-zadi
main teri yaad mein bekal nahin hua ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.