dar-haqiqat roz-o-shab ki talKHiyan jati rahin
dar-haqīqat roz-o-shab kī talḳhiyāñ jaatī rahīñ
zindagī se sab mirī dilchaspiyāñ jaatī rahīñ
naam thā jab tak to ham par saikḌoñ ilzām the
ho ga.e gumnām to rusvā.iyāñ jaatī rahīñ
ab ḳhayāloñ meñ vo mere saath sub.h-o-shām hai
jab se vo bichhḌā hai saarī dūriyāñ jaatī rahīñ
is qadar tanhā.iyoñ ne toḌ Daalā hai mujhe
jism se ho kar judā parchhā.iyāñ jaatī rahīñ
taale paḌ jā.eñge hoñToñ par tumhāre soch lo
mere hoñToñ se agar ḳhāmoshiyāñ jaatī rahīñ
lag rahā hai ḳhatm honā chāhtā hai silsila
ab dil-e-nādāñ kī betābiyāñ jaatī rahīñ
dar-haqiqat roz-o-shab ki talKHiyan jati rahin
zindagi se sab meri dilchaspiyan jati rahin
nam tha jab tak to hum par saikDon ilzam the
ho gae gumnam to ruswaiyan jati rahin
ab KHayalon mein wo mere sath subh-o-sham hai
jab se wo bichhDa hai sari duriyan jati rahin
is qadar tanhaiyon ne toD Dala hai mujhe
jism se ho kar juda parchhaiyan jati rahin
tale paD jaenge honTon par tumhaare soch lo
mere honTon se agar KHamoshiyan jati rahin
lag raha hai KHatm hona chahta hai silsila
ab dil-e-nadan ki betabiyan jati rahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.