dar-haqiqat wo haqiqat-ashna hota nahin
dar-haqīqat vo haqīqat-āshnā hotā nahīñ
but-kadoñ meñ jis ko ‘irfān-e-ḳhudā hotā nahīñ
dil se dil rūhoñ se rūheñ hoñ agar nazdīk-tar
duur rah kar bhī koī dil se judā hotā nahīñ
ādmiyyat kā abhī tak nā-mukammal hai shu'ūr
varna is duniyā meñ hone ko to kyā hotā nahīñ
fasl-e-gul meñ gul se gul dast-o-garebāñ ho ga.e
hādisa aisā kisī jā rūnumā hotā nahīñ
farz-e-yazdāñ kā to hotā hī nahīñ paidā savāl
farz-e-insāñ hī jab insāñ se adā hotā nahīñ
bārhā aisā bhī hotā hai harīm-e-nāz meñ
sāmne hote haiñ vo aur sāmnā hotā nahīñ
kyā tirī duniyā meñ yā-rab haiñ kuchh aise bhī ġharīb
tū bhī jin kī zindagī kā aasrā hotā nahīñ
is liye kartā huuñ 'anvar' sāz-e-dil kā ehtirām
TūTne ke baa'd bhī ye be-sadā hotā nahīñ
dar-haqiqat wo haqiqat-ashna hota nahin
but-kadon mein jis ko ‘irfan-e-KHuda hota nahin
dil se dil ruhon se ruhen hon agar nazdik-tar
dur rah kar bhi koi dil se juda hota nahin
aadmiyyat ka abhi tak na-mukammal hai shu'ur
warna is duniya mein hone ko to kya hota nahin
fasl-e-gul mein gul se gul dast-o-gareban ho gae
hadisa aisa kisi ja runuma hota nahin
farz-e-yazdan ka to hota hi nahin paida sawal
farz-e-insan hi jab insan se ada hota nahin
barha aisa bhi hota hai harim-e-naz mein
samne hote hain wo aur samna hota nahin
kya teri duniya mein ya-rab hain kuchh aise bhi gharib
tu bhi jin ki zindagi ka aasra hota nahin
is liye karta hun 'anwar' saz-e-dil ka ehtiram
TuTne ke ba'd bhi ye be-sada hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.