dar-KHur-e-zist mohabbat ne banaya hai mujhe
dar-ḳhur-e-zīst mohabbat ne banāyā hai mujhe
jaam rāhat kā tire ġham ne pilāyā hai mujhe
ik ujālā ki machaltā hai mire pahlū meñ
is ujāle ne añdheroñ meñ sajāyā hai mujhe
koī ummīd nahīñ duur hai manzil merī
apnī hī sust-ravī ne ye batāyā hai mujhe
koī rāhoñ meñ mujhe DhūñD rahā hai shāyad
manzil-e-shauq ne phir paas bulāyā hai mujhe
shā’irī rah ga.ī ab zehn kā kiiḌā ban kar
fikr-e-ash'ār ne din-rāt satāyā hai mujhe
dar-KHur-e-zist mohabbat ne banaya hai mujhe
jam rahat ka tere gham ne pilaya hai mujhe
ek ujala ki machalta hai mere pahlu mein
is ujale ne andheron mein sajaya hai mujhe
koi ummid nahin dur hai manzil meri
apni hi sust-rawi ne ye bataya hai mujhe
koi rahon mein mujhe DhunD raha hai shayad
manzil-e-shauq ne phir pas bulaya hai mujhe
sha’iri rah gai ab zehn ka kiDa ban kar
fikr-e-ash'ar ne din-raat sataya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.