dar pe aaen bhi tere hum to wo zanjir kahan
dar pe aa.eñ bhī tire ham to vo zanjīr kahāñ
terā insāf kahāñ adl-e-jahāñgīr kahāñ
shāh-e-ālam to kanīzoñ pe nazar rakhte haiñ
ham ko vo yaad kareñ apnī ye taqdīr kahāñ
dil ye kahtā hai ki ik din vo numāyāñ hogā
log kahte haiñ ki is daur meñ shabbīr kahāñ
apnī āñkheñ hī munāfiq hoñ to manzar kaise
ḳhvāb bik jaa.eñ to phir ḳhvāboñ kī ta.abīr kahāñ
ab to sone ke piyāloñ hī meñ ḳhairāt mile
ham faqīroñ kī ho is daur meñ tauqīr kahāñ
ham ne āyāt-e-ġham-e-ishq sunā.īñ ro kar
ḳhushk āñkhoñ se bayāñ hotī bhī tafsīr kahāñ
vaqt ke saath makānoñ ke bhī naqshe badle
ghar meñ 'jāved' purānī koī tasvīr kahāñ
dar pe aaen bhi tere hum to wo zanjir kahan
tera insaf kahan adl-e-jahangir kahan
shah-e-alam to kanizon pe nazar rakhte hain
hum ko wo yaad karen apni ye taqdir kahan
dil ye kahta hai ki ek din wo numayan hoga
log kahte hain ki is daur mein shabbir kahan
apni aankhen hi munafiq hon to manzar kaise
KHwab bik jaen to phir KHwabon ki tabir kahan
ab to sone ke piyalon hi mein KHairaat mile
hum faqiron ki ho is daur mein tauqir kahan
hum ne aayat-e-gham-e-ishq sunain ro kar
KHushk aankhon se bayan hoti bhi tafsir kahan
waqt ke sath makanon ke bhi naqshe badle
ghar mein 'jawed' purani koi taswir kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.