dar pe dastak mere deti hain hawaen shayad
dar pe dastak mere deti hain hawaen shayad
Sayyad Safdar Raza Khandvi
MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi
dar pe dastak mire detī haiñ havā.eñ shāyad
ho ga.iiñ vasl kī maqbūl duā.eñ shāyad
zulf-bar-dosh lab-e-bām koī aaya hai
jam ke barsī haiñ abhī kaalī ghaTā.eñ shāyad
ek amānat mire afkār samajh kar rakh le
aaj bekār haiñ kal kaam meñ aa.eñ shāyad
mujh se rūdād-e-alam pūchhne vaale hamdam
merī barbādī kā bhī jashn manā.eñ shāyad
jaate jaate vo palaT aaya jafākār 'razā'
aa ga.iiñ us ko tirī yaad vafā.eñ shāyad
dar pe dastak mere deti hain hawaen shayad
ho gain wasl ki maqbul duaen shayad
zulf-bar-dosh lab-e-baam koi aaya hai
jam ke barsi hain abhi kali ghaTaen shayad
ek amanat mere afkar samajh kar rakh le
aaj bekar hain kal kaam mein aaen shayad
mujh se rudad-e-alam puchhne wale hamdam
meri barbaadi ka bhi jashn manaen shayad
jate jate wo palaT aaya jafakar 'raza'
aa gain us ko teri yaad wafaen shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.