dar pe dastak si hui ghar se nikalne ke liye
dar pe dastak sī huī ghar se nikalne ke liye
vaqt hai aan paḌā vaqt badalne ke liye
ek vo saañs jo fariyād meñ ghuT kar TuuTī
ek paiġhām thā tūfān ko chalne ke liye
ek āvāz se kuchh aur uThīñ āvāzeñ
kitnā kuchh aur hai duniyā meñ badalne ke liye
zaḳhm bharne ke liye zaḳhm bhī khāne hoñge
ḳhaar par chalnā paḌe ḳhaar kuchalne ke liye
ḳhud sahar apnī karo noch ke sūraj apnā
muntazir kyoñ ho bhalā raat ke Dhalne ke liye
kaun kab aag parā.ī meñ jalā hai 'zarra'
aag siine kī hī darkār hai jalne ke liye
dar pe dastak si hui ghar se nikalne ke liye
waqt hai aan paDa waqt badalne ke liye
ek wo sans jo fariyaad mein ghuT kar TuTi
ek paigham tha tufan ko chalne ke liye
ek aawaz se kuchh aur uThin aawazen
kitna kuchh aur hai duniya mein badalne ke liye
zaKHm bharne ke liye zaKHm bhi khane honge
KHar par chalna paDe KHar kuchalne ke liye
KHud sahar apni karo noch ke suraj apna
muntazir kyon ho bhala raat ke Dhalne ke liye
kaun kab aag parai mein jala hai 'zarra'
aag sine ki hi darkar hai jalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.