dar pe laga di KHamoshi ki taKHti kya
dar pe laga di KHamoshi ki taKHti kya
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
dar pe lagā dī ḳhāmoshī kī taḳhtī kyā
sannāTe ke haath pe bai'at kar lī kyā
pyaar ke naam pe taj detī hai tan man dhan
is bastī meñ pāgal hai har laḌkī kyā
ThanDak ne par kaaT diye haiñ ravānī ke
barf ke tūdoñ kī rau par hai kashtī kyā
naav ke paañv zaḳhmī hote jaate haiñ
rāhguzar paanī kī huī pathrīlī kyā
sab kī ḳhabar letī phirtī hai ravish ravish
saare ġham kī rakhvālī hai titlī kyā
ḳhuun hī pī kar mānegā ye dard kā saañp
jaan hī le kar jā.egī tanhā.ī kyā
jam.a kiye haiñ ye jo itne rang 'qamar'
shahr-e-ġhazal meñ aa.ī hai dīvālī kyā
dar pe laga di KHamoshi ki taKHti kya
sannaTe ke hath pe bai'at kar li kya
pyar ke nam pe taj deti hai tan man dhan
is basti mein pagal hai har laDki kya
ThanDak ne par kaT diye hain rawani ke
barf ke tudon ki rau par hai kashti kya
naw ke panw zaKHmi hote jate hain
rahguzar pani ki hui pathrili kya
sab ki KHabar leti phirti hai rawish rawish
sare gham ki rakhwali hai titli kya
KHun hi pi kar manega ye dard ka sanp
jaan hi le kar jaegi tanhai kya
jama kiye hain ye jo itne rang 'qamar'
shahr-e-ghazal mein aai hai diwali kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.