Dar sa lagta hai mujhe ab kucha-o-bazar se
Dar sā lagtā hai mujhe ab kūcha-o-bāzār se
tohmatoñ kī bel lipTī hai mire kirdār se
ḳhush to ho lekin milā paate nahīñ mujh se nazar
dosto kyā phir bulāvā aa gayā darbār se
ḳhud ko apne sāmne paatā huuñ har-sū mahv-e-raqs
ḳhvāb jab bhī dekhtā huuñ dīda-e-bedār se
gar ye jaatī shab palaT kar aa na jaatī sāthiyo
kuchh nazar to aa rahe the sub.h ke āsār se
jaane kyoñ phir piiTh par zaḳhmoñ ke haiñ sad.hā nishāñ
log lagte haiñ mujhe hamdard se ġham-ḳhvār se
Dar sa lagta hai mujhe ab kucha-o-bazar se
tohmaton ki bel lipTi hai mere kirdar se
KHush to ho lekin mila pate nahin mujh se nazar
dosto kya phir bulawa aa gaya darbar se
KHud ko apne samne pata hun har-su mahw-e-raqs
KHwab jab bhi dekhta hun dida-e-bedar se
gar ye jati shab palaT kar aa na jati sathiyo
kuchh nazar to aa rahe the subh ke aasar se
jaane kyon phir piTh par zaKHmon ke hain sadha nishan
log lagte hain mujhe hamdard se gham-KHwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.