dar se main uske lauT ke pyasa na jaunga
dar se maiñ us ke lauT ke pyāsā na jā.uñgā
tanhā to aa gayā huuñ pe tanhā na jā.uñgā
rātoñ ko gungunā.eñge mujh ko udaas log
hālāñki maiñ kitāboñ meñ likkhā na jā.uñgā
mujh ko vahāñ bhī chāhiyeñ mere tamām dost
jannat bhī jā.uñgā to akelā na jā.uñgā
vahshat se hai gurez kise 'ishq meñ magar
itne se kaam ke liye sahrā na jā.uñgā
rah jā.uñgā simaT hī ke siine meñ kyā tire
hoñToñ se kyā kabhī maiñ pukārā na jā.uñgā
dar se main us ke lauT ke pyasa na jaunga
tanha to aa gaya hun pe tanha na jaunga
raaton ko gungunaenge mujh ko udas log
haalanki main kitabon mein likkha na jaunga
mujh ko wahan bhi chahiyen mere tamam dost
jannat bhi jaunga to akela na jaunga
wahshat se hai gurez kise 'ishq mein magar
itne se kaam ke liye sahra na jaunga
rah jaunga simaT hi ke sine mein kya tere
honTon se kya kabhi main pukara na jaunga
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 48)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.