Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar shamil ho aur diwar mulawwis ho

Jabbar Wasif

dar shamil ho aur diwar mulawwis ho

Jabbar Wasif

MORE BYJabbar Wasif

    dar shāmil ho aur dīvār mulavvis ho

    yā'nī yaar haar meñ yaar mulavvis ho

    us chorī se bachnā mushkil hotā hai

    jis chorī meñ chaukīdār mulavvis ho

    Tiipū sultān bhī jiit nahīñ saktā

    ġhadr meñ jab koī ġhaddār mulavvis ho

    sochiye phir anjām qabīle vāloñ

    jab sāzish meñ ḳhud sardār mulavvis ho

    lashkar phir paspā honā bantā hai

    paspā.ī meñ jab sālār mulavvis ho

    us us jurm file maḳhfī rahtī hai

    jis jis meñ ḳhufiya kirdār mulavvis ho

    'adl ke kārobār ko koī kyā roke

    jab us meñ saarī sarkār mulavvis ho

    zāhir meñ qaazī tā'zīr lagā.e aur

    dar-parda shāhī darbār mulavvis ho

    dost hamāre dost haiñ par kyā lāzim hai

    qatl meñ dushman har baar mulavvis ho

    mumkin hai us paar haath na ho is baar

    mumkin hai koī is paar mulavvis ho

    'vāsif' ḳhvāhish hai ki bastī ho bedār

    aur bedārī meñ ‘jabbār’ mulavvis ho

    dar shamil ho aur diwar mulawwis ho

    ya'ni yar ki haar mein yar mulawwis ho

    us chori se bachna mushkil hota hai

    jis chori mein chaukidar mulawwis ho

    Tipu sa sultan bhi jit nahin sakta

    ghadr mein jab koi ghaddar mulawwis ho

    sochiye phir anjam qabile walon ka

    jab sazish mein KHud sardar mulawwis ho

    lashkar ka phir paspa hona banta hai

    paspai mein jab salar mulawwis ho

    us us jurm ki file maKHfi rahti hai

    jis jis mein KHufiya kirdar mulawwis ho

    'adl ke karobar ko koi kya roke

    jab us mein sari sarkar mulawwis ho

    zahir mein qazi ta'zir lagae aur

    dar-parda shahi darbar mulawwis ho

    dost hamare dost hain par kya lazim hai

    qatl mein dushman hi har bar mulawwis ho

    mumkin hai us par ka hath na ho is bar

    mumkin hai koi is par mulawwis ho

    'wasif' KHwahish hai ki basti ho bedar

    aur bedari mein ‘jabbar’ mulawwis ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now