dar taKHayyul ke muqaffal nahin hone deta
dar taḳhayyul ke muqaffal nahīñ hone detā
maiñ tujhe aañkh se ojhal nahīñ hone detā
niiñd aatī hai to āñkhoñ meñ jagah detā huuñ
apnī palkoñ ko maiñ bojhal nahīñ hone detā
kis ko sairāb karegā vo chhalaktā bādal
jo marī pyaas ko jal-thal nahīñ hone detā
chhīn letā hai musavvir ke sabhī hosh-o-havās
husn tasvīr mukammal nahīñ hone detā
kis ko iflās ne rakkhā hai shagufta-ḳhātir
ye to bachchoñ ko bhī chanchal nahīñ hone detā
koī kāñdhe pe mire haath dhare hai 'mahtāb'
ye taḳhayyul mujhe pāgal nahīñ hone detā
dar taKHayyul ke muqaffal nahin hone deta
main tujhe aankh se ojhal nahin hone deta
nind aati hai to aankhon mein jagah deta hun
apni palkon ko main bojhal nahin hone deta
kis ko sairab karega wo chhalakta baadal
jo mari pyas ko jal-thal nahin hone deta
chhin leta hai musawwir ke sabhi hosh-o-hawas
husn taswir mukammal nahin hone deta
kis ko iflas ne rakkha hai shagufta-KHatir
ye to bachchon ko bhi chanchal nahin hone deta
koi kandhe pe mere hath dhare hai 'mahtab'
ye taKHayyul mujhe pagal nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.