Dara Dara ke wo mujhko baghi bana raha hai
Darā Darā ke vo mujh ko bāġhī banā rahā hai
hukūmatoñ ke liye tabāhī banā rahā hai
javāñ diloñ par ġhamoñ ke taale lage hue haiñ
aur ik vo būḌhā ḳhushī kī chābī banā rahā hai
sabhī ke hāthoñ meñ phone hai par qalam nahīñ hai
umiid le kar koī siyāhī banā rahā hai
tirī mohabbat se pahle Darpok shahrī thā maiñ
tirā nasha to mujhe sipāhī banā rahā hai
maiñ us kā raajā huuñ bachpane se par us kā abbā
use faqīroñ ke ghar kī raanī banā rahā hai
ḳhabar hai phailī ki tujh ko model hai bhāte tab se
har ek bachcha nagar meñ body banā rahā hai
tū us kī āñkhoñ ko dekh kar hī samajh le 'javvād'
vo sach chhupā kar faqat kahānī banā rahā hai
Dara Dara ke wo mujh ko baghi bana raha hai
hukumaton ke liye tabahi bana raha hai
jawan dilon par ghamon ke tale lage hue hain
aur ek wo buDha KHushi ki chabi bana raha hai
sabhi ke hathon mein phone hai par qalam nahin hai
umid le kar koi siyahi bana raha hai
teri mohabbat se pahle Darpok shahri tha main
tera nasha to mujhe sipahi bana raha hai
main us ka raja hun bachpane se par us ka abba
use faqiron ke ghar ki rani bana raha hai
KHabar hai phaili ki tujh ko model hai bhate tab se
har ek bachcha nagar mein body bana raha hai
tu us ki aankhon ko dekh kar hi samajh le 'jawwad'
wo sach chhupa kar faqat kahani bana raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.