Dara na mujhko bahut mere aasman mujhe
Darā na mujh ko bahut mere āsmān mujhe
maiñ musht-e-ḳhāk sahī kam se kam ye jaan mujhe
safar tavīl thā kitnā ye kyā kahūñ ai dost
thakā huā huuñ bahut hai abhī takān mujhe
ḳhutūt jism ke shīshagarī se baḌh kar haiñ
bulā rahī hai taḳhayyul meñ ik Dhalān mujhe
tumhārā ġham jo hai saare ġhamoñ kā dībācha
banā gayā hai haqīqat meñ ik chaTān mujhe
zarā sā aab havā tak bigāḌ saktī hai
milā hai ḳhaak ke parde pe vo makān mujhe
mirā shu'ūr ho puḳhta mirā qalam taaza
'atā kare jo ḳhudā dard kī zabān mujhe
Dara na mujh ko bahut mere aasman mujhe
main musht-e-KHak sahi kam se kam ye jaan mujhe
safar tawil tha kitna ye kya kahun ai dost
thaka hua hun bahut hai abhi takan mujhe
KHutut jism ke shishagari se baDh kar hain
bula rahi hai taKHayyul mein ek Dhalan mujhe
tumhaara gham jo hai sare ghamon ka dibacha
bana gaya hai haqiqat mein ek chaTan mujhe
zara sa aab hawa tak bigaD sakti hai
mila hai KHak ke parde pe wo makan mujhe
mera shu'ur ho puKHta mera qalam taza
'ata kare jo KHuda dard ki zaban mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.