Dara rahi thi mujhe aur Dar liya maine
Darā rahī thī mujhe aur Dar liyā maiñ ne
phir ek roz mohabbat kā sar liyā maiñ ne
kisī se māñgī musalsal rasad aziyyat kī
phir apne saa.e ko dīvār kar liyā maiñ ne
pahan rahe the kisī ġham kā pairahan kuchh log
agarche mahñgā paḌā mujh ko par liyā maiñ ne
baġhair udāsī munāsib nahīñ thā ghar jaanā
ye intizām use chhū ke kar liyā maiñ ne
tamām ho ga.ī mujh par kisī kī hujjat dost
jahāñ nahīñ thā bipharnā biphar liyā maiñ ne
Dara rahi thi mujhe aur Dar liya main ne
phir ek roz mohabbat ka sar liya main ne
kisi se mangi musalsal rasad aziyyat ki
phir apne sae ko diwar kar liya main ne
pahan rahe the kisi gham ka pairahan kuchh log
agarche mahnga paDa mujh ko par liya main ne
baghair udasi munasib nahin tha ghar jaana
ye intizam use chhu ke kar liya main ne
tamam ho gai mujh par kisi ki hujjat dost
jahan nahin tha bipharna biphar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.