daraKHt kaise baDhega agar na pani de
daraḳht kaise baḌhegā agar na paanī de
kisī ko paḌh jo tire sher ko ravānī de
agarche maiñ ne to āb-e-hayāt māñgā hai
jo mai hī denī hai tū ne bahut purānī hai
ba-sad ḳhulūs mujhe zahr de gayā hai vo
ki jis se maiñ ne kahā zindagī suhānī de
jo ek baar anal-haq kī nazr kar de to
hazār baar ḳhudā tujh ko phir javānī de
nigah udaas hai de is ko koī nazzāra
zabāñ jo guñg hai yārab use kahānī de
zamīñ jo bāñjh hai ab us kī god bhī bhar de
jo hoñT suukh rahe haiñ unheñ bhī paanī de
daraKHt kaise baDhega agar na pani de
kisi ko paDh jo tere sher ko rawani de
agarche main ne to aab-e-hayat manga hai
jo mai hi deni hai tu ne bahut purani hai
ba-sad KHulus mujhe zahr de gaya hai wo
ki jis se main ne kaha zindagi suhani de
jo ek bar anal-haq ki nazr kar de to
hazar bar KHuda tujh ko phir jawani de
nigah udas hai de is ko koi nazzara
zaban jo gung hai yarab use kahani de
zamin jo banjh hai ab us ki god bhi bhar de
jo honT sukh rahe hain unhen bhi pani de
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 558)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.