daraKHt mujhko nai kahani suna rahe hain
daraḳht mujh ko na.ī kahānī sunā rahe haiñ
ki ye parinde ga.e dinoñ meñ ḳhudā rahe haiñ
maiñ kuchh dinoñ meñ ḳhudā se milne ko jā rahā huuñ
mujhe lakīroñ ko paḌhne vaale batā rahe haiñ
tamām shahroñ ko dushmanoñ ne bachā liyā hai
mire sipāhī bas apnī jāneñ bachā rahe haiñ
sisak rahe haiñ tamām va.ada nibhāne vaale
ki ham ye kaisī aziyyatoñ ko nibhā rahe haiñ
kisī ne khiḌkī ko kholnā hai to dekhnā hai
so ham galī meñ guloñ ke jhurmuT lagā rahe haiñ
bichhaḌne vaale ne kab palaT kar ye dekhnā hai
ki ġham badan ke tamām hissoñ ko khā rahe haiñ
ye peḌ vāqif haiñ in fusūñ-ḳhez ḳhushbuoñ se
so ehtirāman tamām sar ko jhukā rahe haiñ
daraKHt mujh ko nai kahani suna rahe hain
ki ye parinde gae dinon mein KHuda rahe hain
main kuchh dinon mein KHuda se milne ko ja raha hun
mujhe lakiron ko paDhne wale bata rahe hain
tamam shahron ko dushmanon ne bacha liya hai
mere sipahi bas apni jaanen bacha rahe hain
sisak rahe hain tamam wada nibhane wale
ki hum ye kaisi aziyyaton ko nibha rahe hain
kisi ne khiDki ko kholna hai to dekhna hai
so hum gali mein gulon ke jhurmuT laga rahe hain
bichhaDne wale ne kab palaT kar ye dekhna hai
ki gham badan ke tamam hisson ko kha rahe hain
ye peD waqif hain in fusun-KHez KHushbuon se
so ehtiraman tamam sar ko jhuka rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.