daraKHton par parinde bolte hain
daraḳhtoñ par parinde bolte haiñ
nikal ghar se ki raste bolte haiñ
dar-o-dīvār se raunaq gharoñ kī
diloñ kā haal chehre bolte haiñ
yuuñ hī sīnoñ se kab niklī haiñ aaheñ
lage jab Thes shīshe bolte haiñ
koī be-sāḳhta jumla kabhī to
ye sab alfāz tote bolte haiñ
abhī to gul-fishānī ho rahī hai
ye dekheñ kyā vo aage bolte haiñ
garāñ us kī samā.at par na guzre
so ham kitnā sambhal ke bolte haiñ
tirā andāz sab ko bhā gayā hai
tire lahje meñ saare bolte haiñ
hai aisā shahr bhī ābād 'fārūq'
haiñ sab ḳhāmosh katbe bolte haiñ
daraKHton par parinde bolte hain
nikal ghar se ki raste bolte hain
dar-o-diwar se raunaq gharon ki
dilon ka haal chehre bolte hain
yun hi sinon se kab nikli hain aahen
lage jab Thes shishe bolte hain
koi be-saKHta jumla kabhi to
ye sab alfaz tote bolte hain
abhi to gul-fishani ho rahi hai
ye dekhen kya wo aage bolte hain
garan us ki samaat par na guzre
so hum kitna sambhal ke bolte hain
tera andaz sab ko bha gaya hai
tere lahje mein sare bolte hain
hai aisa shahr bhi aabaad 'faruq'
hain sab KHamosh katbe bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.