dard baDh kar dawa na ho jae
dard baḌh kar davā na ho jaa.e
zindagī be-maza na ho jaa.e
roktā huuñ mizha pe maiñ aañsū
gir ke dil kī sadā na ho jaa.e
nigah-e-iltifāt ke sadqe
dil kī dhaḌkan sivā na ho jaa.e
roz martā huuñ roz jiitā huuñ
terā va.ada vafā na ho jaa.e
aap se shikva ai ma.āz-allāh
lab tak aa kar duā na ho jaa.e
vo kisī kaam kā nahīñ jo dil
dard se āshnā na ho jaa.e
siinā aksar hai soz se ḳhālī
ziist be-mudda.ā na ho jaa.e
uf ye tahzīb-e-nau kī ḳhūñ-ḳhvārī
ḳhūn-e-insāñ ravā na ho jaa.e
dil-lagī dil-lagī meñ dekh 'habīb'
ishq kī ibtidā na ho jaa.e
dard baDh kar dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae
rokta hun mizha pe main aansu
gir ke dil ki sada na ho jae
nigah-e-iltifat ke sadqe
dil ki dhaDkan siwa na ho jae
roz marta hun roz jita hun
tera wada wafa na ho jae
aap se shikwa ai maaz-allah
lab tak aa kar dua na ho jae
wo kisi kaam ka nahin jo dil
dard se aashna na ho jae
sina aksar hai soz se KHali
zist be-muddaa na ho jae
uf ye tahzib-e-nau ki KHun-KHwari
KHun-e-insan rawa na ho jae
dil-lagi dil-lagi mein dekh 'habib'
ishq ki ibtida na ho jae
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 67)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.