dard baDhte baDhte aap apna mudawa ho gaya
dard baDhte baDhte aap apna mudawa ho gaya
Syed Akhtar Ali Akhtar
MORE BYSyed Akhtar Ali Akhtar
dard baḌhte baḌhte aap apnā mudāvā ho gayā
aañkh se aañsū bahe to jī bhī halkā ho gayā
un se qāsid sirf ye kahnā ba-sad ijz-o-niyāz
dard jo jāñ-baḳhsh thā ab jān-levā ho gayā
maiñ ne ḳhud se bhī chhupāyā thā tirī ulfat kā raaz
ai nigāh-e-nāz tujh par kaise ifshā ho gayā
apne bīmār-e-mohabbat kā karo tum kuchh ilaaj
varna phir kahte phiroge haa.e ye kyā ho gayā
bazm meñ 'aḳhtar' mujhī par to na thī un kī nigāh
maiñ ne un āñkhoñ meñ kyā dekhā mujhe kyā ho gayā
dard baDhte baDhte aap apna mudawa ho gaya
aankh se aansu bahe to ji bhi halka ho gaya
un se qasid sirf ye kahna ba-sad ijz-o-niyaz
dard jo jaan-baKHsh tha ab jaan-lewa ho gaya
main ne KHud se bhi chhupaya tha teri ulfat ka raaz
ai nigah-e-naz tujh par kaise ifsha ho gaya
apne bimar-e-mohabbat ka karo tum kuchh ilaj
warna phir kahte phiroge hae ye kya ho gaya
bazm mein 'aKHtar' mujhi par to na thi un ki nigah
main ne un aankhon mein kya dekha mujhe kya ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.