dard ban jaun teri aankh se bah kar niklun
dard ban jā.ūñ tirī aañkh se bah kar niklūñ
tere dāman ko bhigotā rahūñ shab-bhar niklūñ
jitnā jī chāhe satā maiñ tirā dīvāna huuñ
apnā dīvāna tujhe maiñ bhī banā kar niklūñ
tujh se milne ko tarastā huuñ maiñ pāgal kī tarah
maiñ tujhe DhūñDne is shahr meñ ghar ghar niklūñ
bas ye armāñ liye aayā thā tirī duniyā meñ
dard siine meñ jo uTThe to chhupā kar niklūñ
us ke vā'doñ ko farāmosh maiñ kartā kaise
dekhne ke liye maiñ chāñd ko chhat par niklūñ
jab bhī miltā hai vo qātil hī samajhtā hai mujhe
dil meñ mahfūz rahūñ ghar se na bāhar niklūñ
jis kī chāhat ne pareshān kiyā hai mujh ko
us kī galiyoñ se kisī roz to 'afsar' niklūñ
dard ban jaun teri aankh se bah kar niklun
tere daman ko bhigota rahun shab-bhar niklun
jitna ji chahe sata main tera diwana hun
apna diwana tujhe main bhi bana kar niklun
tujh se milne ko tarasta hun main pagal ki tarah
main tujhe DhunDne is shahr mein ghar ghar niklun
bas ye arman liye aaya tha teri duniya mein
dard sine mein jo uTThe to chhupa kar niklun
us ke wa'don ko faramosh main karta kaise
dekhne ke liye main chand ko chhat par niklun
jab bhi milta hai wo qatil hi samajhta hai mujhe
dil mein mahfuz rahun ghar se na bahar niklun
jis ki chahat ne pareshan kiya hai mujh ko
us ki galiyon se kisi roz to 'afsar' niklun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.