dard bhi ginte raho aur KHwab bhi ginte raho
dard bhī ginte raho aur ḳhvāb bhī ginte raho
kitnā achchhā kaam hai lekin akele mat karo
maiñ ne us kī raushnī meñ jis qadar nazmeñ kahīñ
in ko dīvāroñ pe likhnā hai mirā tum saath do
umr ke ye saal bhī āḳhir guzar hī jā.eñge
chāñd va.ade kī taraf takte raho aur ḳhush raho
rizq kī machhlī kī ḳhātir qatl kar dete haiñ log
ho sake to apnā sab kuchh dūsroñ meñ baañT do
ab the is ke paas 'bedī' pesh us ne kar diye
aarzū anjām tak pahuñchī miyāñ jiite raho
dard bhi ginte raho aur KHwab bhi ginte raho
kitna achchha kaam hai lekin akele mat karo
main ne us ki raushni mein jis qadar nazmen kahin
in ko diwaron pe likhna hai mera tum sath do
umr ke ye sal bhi aaKHir guzar hi jaenge
chand wade ki taraf takte raho aur KHush raho
rizq ki machhli ki KHatir qatl kar dete hain log
ho sake to apna sab kuchh dusron mein banT do
ab the is ke pas 'bedi' pesh us ne kar diye
aarzu anjam tak pahunchi miyan jite raho
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 280)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.