dard dil ka ayan nahin hota
dard dil kā ayaañ nahīñ hotā
ham se ġham kā bayāñ nahīñ hotā
kaise samjhā.eñ ahl-e-mahfil ko
har jagah imtihāñ nahīñ hotā
guzrī bātoñ ko yaad karne se
vo fasāna bayāñ nahīñ hotā
ġham-zadoñ ko tasalliyāñ de kar
koī jānān-e-jāñ nahīñ hotā
kahne vaale to baat kah ke ga.e
dil se aañsū ravāñ nahīñ hotā
bebasī raah kī qadam roke
rahbarī kā nishāñ nahīñ hotā
dukh vahāñ se bhī ham ko milte haiñ
jis jagah se gumāñ nahīñ hotā
us se kyā ġham bayāñ kareñ apnā
sun ke jo mehrbāñ nahīñ hotā
kyoñ satāte ho ġham-zadoñ ko 'adā'
dil tumhārā tapāñ nahīñ hotā
dard dil ka ayan nahin hota
hum se gham ka bayan nahin hota
kaise samjhaen ahl-e-mahfil ko
har jagah imtihan nahin hota
guzri baaton ko yaad karne se
wo fasana bayan nahin hota
gham-zadon ko tasalliyan de kar
koi jaanan-e-jaan nahin hota
kahne wale to baat kah ke gae
dil se aansu rawan nahin hota
bebasi rah ki qadam roke
rahbari ka nishan nahin hota
dukh wahan se bhi hum ko milte hain
jis jagah se guman nahin hota
us se kya gham bayan karen apna
sun ke jo mehrban nahin hota
kyon satate ho gham-zadon ko 'ada'
dil tumhaara tapan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.