dard dil mein jawan hota hai
dard dil meñ javān hotā hai
phir koī mehrbān hotā hai
dekhte haiñ koī hasīñ chehra
aap kā hī gumān hotā hai
ban-sañvar ke vo jab nikalte haiñ
dil zarā be-īmān hotā hai
ḳhud-ba-ḳhud paañv udhar hī uThte haiñ
jahāñ terā makān hotā hai
roz ek kashmakash sī rahtī hai
roz ek imtihān hotā hai
jitne ehsāñ vo dil pe karte haiñ
utnā ye be-zabān hotā hai
bazm meñ ġhair ban ke baiThe ho
yuuñ koī bad-gumān hotā hai
maiñ ġhazal us ko hī sunātā huuñ
jo mirā qadr-dān hotā hai
rahūñ chāhe jahāñ meñ ai 'sāgar'
dil meñ hindostān hotā hai
dard dil mein jawan hota hai
phir koi mehrban hota hai
dekhte hain koi hasin chehra
aap ka hi guman hota hai
ban-sanwar ke wo jab nikalte hain
dil zara be-iman hota hai
KHud-ba-KHud panw udhar hi uThte hain
jahan tera makan hota hai
roz ek kashmakash si rahti hai
roz ek imtihan hota hai
jitne ehsan wo dil pe karte hain
utna ye be-zaban hota hai
bazm mein ghair ban ke baiThe ho
yun koi bad-guman hota hai
main ghazal us ko hi sunata hun
jo mera qadr-dan hota hai
rahun chahe jahan mein ai 'sagar'
dil mein hindostan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.