dard-e-dil ka mere kuchh ghaTa andalib
dard-e-dil kā mire kuchh ghaTā andalīb
koī naġhma mohabbat kā gā andalīb
ek bachcha sā man ab mirā lag gayā
Daal se Daal par phir se jā andalīb
har koī ban ke sayyād baiThā yahāñ
bārhā kah rahā lauT aa andalīb
aaj sahrā meñ itnī udāsī hai kyoñ
aa mire paas aa baiTh jā andalīb
gaañv se duur phir terī āġhosh meñ
aa ke maiñ ho gayā mubtalā andalīb
sirf tū aur arz-o-samā hī nahīñ
saath tere maiñ bhī ro rahā andalīb
fasl-e-gul ab ke 'sohil' fanā ho ga.ī
is baras ho ga.ī ġham-zada andalīb
dard-e-dil ka mere kuchh ghaTa andalib
koi naghma mohabbat ka ga andalib
ek bachcha sa man ab mera lag gaya
Dal se Dal par phir se ja andalib
har koi ban ke sayyaad baiTha yahan
barha kah raha lauT aa andalib
aaj sahra mein itni udasi hai kyon
aa mere pas aa baiTh ja andalib
ganw se dur phir teri aaghosh mein
aa ke main ho gaya mubtala andalib
sirf tu aur arz-o-sama hi nahin
sath tere main bhi ro raha andalib
fasl-e-gul ab ke 'sohil' fana ho gai
is baras ho gai gham-zada andalib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.