dard-e-dil karen ja kar kis se hum bayan apna
dard-e-dil kareñ jā kar kis se ham bayāñ apnā
jab nazar nahīñ aatā koī rāz-dāñ apnā
kyā batā.ūñ maiñ kyā huuñ aur kahāñ maiñ rahtā huuñ
be-ḳhudī shi.ār apnā lā-makāñ makāñ apnā
dard dil meñ uThtā hai ashk bhī hai āñkhoñ meñ
kis se maiñ kahūñ yā-rab raaz hai nihāñ apnā
kasrat-e-masā.ib ko jhel shauq se ai dil
kār-gāh-e-hastī meñ hai ye imtihāñ apnā
lazzat-e-tarab mujh ko ho sakī na kuchh hāsil
fasl-e-gul hī meñ gulshan ho gayā ḳhizāñ apnā
kis ko ham sunā.eñ ab ai 'valī' ġhazal āḳhir
jab nazar nahīñ aatā koī qadr-dāñ apnā
dard-e-dil karen ja kar kis se hum bayan apna
jab nazar nahin aata koi raaz-dan apna
kya bataun main kya hun aur kahan main rahta hun
be-KHudi shiar apna la-makan makan apna
dard dil mein uThta hai ashk bhi hai aankhon mein
kis se main kahun ya-rab raaz hai nihan apna
kasrat-e-masaib ko jhel shauq se ai dil
kar-gah-e-hasti mein hai ye imtihan apna
lazzat-e-tarab mujh ko ho saki na kuchh hasil
fasl-e-gul hi mein gulshan ho gaya KHizan apna
kis ko hum sunaen ab ai 'wali' ghazal aaKHir
jab nazar nahin aata koi qadr-dan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.