dard-e-dil ki koi dawa hi nahin
dard-e-dil kī koī davā hī nahīñ
is liye maiñ to sochtā hī nahīñ
ab to maiñ sirf jiit saktā huuñ
hārne ko to kuchh bachā hī nahīñ
tum se bichhḌā huuñ aur zinda huuñ
yā'nī jaise ki kuchh huā hī nahīñ
jab se aahoñ kā silsila TuuTā
saañs lene meñ zā.iqa hī nahīñ
yā'nī allāh vaale bas tum ho
aur merā koī ḳhudā hī nahīñ
mujh ko bhūle na bhuul pā.egā
maiñ ne ab tak tujhe chhuā hī nahīñ
dard-e-dil ki koi dawa hi nahin
is liye main to sochta hi nahin
ab to main sirf jit sakta hun
haarne ko to kuchh bacha hi nahin
tum se bichhDa hun aur zinda hun
ya'ni jaise ki kuchh hua hi nahin
jab se aahon ka silsila TuTa
sans lene mein zaiqa hi nahin
ya'ni allah wale bas tum ho
aur mera koi KHuda hi nahin
mujh ko bhule na bhul paega
main ne ab tak tujhe chhua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.