dard-e-dil ko dawa kab mili dusri
dard-e-dil ko davā kab milī dūsrī
man ko bhātī nahīñ sundarī dūsrī
naam us ke mirī zindagī ho ga.ī
achchhī lagtī nahīñ naukrī dūsrī
jab lakīroñ meñ us kā pata na milā
baat karne lagā jyotishī dūsrī
sab ko shikshit karo a.alā kirdār se
is se behtar nahīñ bandagī dūsrī
raushnī chāñd tāroñ ko jis se milī
us kī upmā nahīñ aaj bhī dūsrī
nā-mukammal 'shubham' jab kahānī lagī
zaḳhm likhne ko lī Diary dūsrī
dard-e-dil ko dawa kab mili dusri
man ko bhati nahin sundari dusri
nam us ke meri zindagi ho gai
achchhi lagti nahin naukri dusri
jab lakiron mein us ka pata na mila
baat karne laga jyotishi dusri
sab ko shikshit karo aala kirdar se
is se behtar nahin bandagi dusri
raushni chand taron ko jis se mili
us ki upma nahin aaj bhi dusri
na-mukammal 'shubham' jab kahani lagi
zaKHm likhne ko li Diary dusri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.