dard-e-dil ko jo main is dil ka hi hissa kar lun
dard-e-dil ko jo maiñ is dil kā hī hissa kar luuñ
dard kā dard miTe dil ko bhī achchhā kar luuñ
jab ki ḳhud hī meñ mujhe us kī jhalak miltī hai
hijr meñ sub.h talak ḳhud ko hī sajda kar luuñ
terī duniyā meñ bahut kaam haiñ hone yā-rab
maiñ akelā huuñ akelā hī maiñ kyā kyā kar luuñ
juujh saktā huuñ zamāne kī kisī mushkil se
shaktiyāñ apnī baḌhā kar jo maiñ ik-jā kar luuñ
apnī ġhazloñ ko nayā rang diyā hai maiñ ne
hijr meñ us ke maiñ is rang ko chokhā kar luuñ
paaTh ulfat kā paḌhānā hai mujhe duniyā ko
tū jo de saath to maiñ kaam ye puurā kar luuñ
ġham-e-jānāñ bhī mirā aur ġham-e-daurāñ bhī mirā
phir bhalā kyoñ maiñ kisī ġham kā mudāvā kar luuñ
kaun detā hai yahāñ saath kisī kā 'ālam'
kis ko hamrāz banā luuñ kise apnā kar luuñ
dard-e-dil ko jo main is dil ka hi hissa kar lun
dard ka dard miTe dil ko bhi achchha kar lun
jab ki KHud hi mein mujhe us ki jhalak milti hai
hijr mein subh talak KHud ko hi sajda kar lun
teri duniya mein bahut kaam hain hone ya-rab
main akela hun akela hi main kya kya kar lun
jujh sakta hun zamane ki kisi mushkil se
shaktiyan apni baDha kar jo main ik-ja kar lun
apni ghazlon ko naya rang diya hai main ne
hijr mein us ke main is rang ko chokha kar lun
paTh ulfat ka paDhana hai mujhe duniya ko
tu jo de sath to main kaam ye pura kar lun
gham-e-jaanan bhi mera aur gham-e-dauran bhi mera
phir bhala kyon main kisi gham ka mudawa kar lun
kaun deta hai yahan sath kisi ka 'alam'
kis ko hamraaz bana lun kise apna kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.