dard-e-dil la-dawa nahin hota
dard-e-dil lā-davā nahīñ hotā
aap chāheñ to kyā nahīñ hotā
un kā va.ada vafā nahīñ hotā
jis ko samjho havā nahīñ hotā
ḳhud hī jab tak fanā nahīñ hotā
qatra dariyā-adā nahīñ hotā
hai ye nairangī-e-ḳhayāl faqat
kuchh bhī achchhā-burā nahīñ hotā
dar-ḳhūr-e-qahr ham to haiñ lekin
ishq kā ye sila nahīñ hotā
ho gayā dil judā ḳhudā.ī se
tujh se lekin judā nahīñ hotā
saarī duniyā ke tazkire haiñ vahāñ
zikr lekin mirā nahīñ hotā
dil se miTtā nahīñ ḳhayāl tirā
dil kā chāhā huā nahīñ hotā
vaa.e bar-hāl-e-nāḳhun-e-tadbīr
ek uqda bhī vā nahīñ hotā
jab vo hote nahīñ hamāre paas
kuchh bhī un ke sivā nahīñ hotā
be-ḳhudī-hā-e-mudda.ā kī qasam
mudda.ā mudda.ā nahīñ hotā
husn aur ishq ke sivā ai dil
kuchh bhī lā-intihā nahīñ hotā
dil ko thāme hue maiñ baiThā huuñ
dil meñ dard aaj kyā nahīñ hotā
be-kasī-hā-e-ġham hazār afsos
kyā ḳhudā bhī ḳhudā nahīñ hotā
haq yahī hai ki haqq-e-ishq tirā
laakh adā ho adā nahīñ hotā
ishq jab tak sharīk-e-hāl na ho
zindagī meñ maza nahīñ hotā
zulm dil par vo kitne hī Dhā.eñ
dil ko un se gila nahīñ hotā
vasl hotā visāl hotā hai
ālam-e-dil meñ kyā nahīñ hotā
dil pe jaisī balā.eñ chhātī haiñ
yuuñ hujūm-e-balā nahīñ hotā
aao ab qasd-e-dair kar dekheñ
yuuñ dar-e-ka.aba vā nahīñ hotā
rāhbar terā kaun hogā 'junūñ'
dil hī jab rahnumā nahīñ hotā
dard-e-dil la-dawa nahin hota
aap chahen to kya nahin hota
un ka wada wafa nahin hota
jis ko samjho hawa nahin hota
KHud hi jab tak fana nahin hota
qatra dariya-ada nahin hota
hai ye nairangi-e-KHayal faqat
kuchh bhi achchha-bura nahin hota
dar-KHur-e-qahr hum to hain lekin
ishq ka ye sila nahin hota
ho gaya dil juda KHudai se
tujh se lekin juda nahin hota
sari duniya ke tazkire hain wahan
zikr lekin mera nahin hota
dil se miTta nahin KHayal tera
dil ka chaha hua nahin hota
wae bar-haal-e-naKHun-e-tadbir
ek uqda bhi wa nahin hota
jab wo hote nahin hamare pas
kuchh bhi un ke siwa nahin hota
be-KHudi-ha-e-muddaa ki qasam
muddaa muddaa nahin hota
husn aur ishq ke siwa ai dil
kuchh bhi la-intiha nahin hota
dil ko thame hue main baiTha hun
dil mein dard aaj kya nahin hota
be-kasi-ha-e-gham hazar afsos
kya KHuda bhi KHuda nahin hota
haq yahi hai ki haqq-e-ishq tera
lakh ada ho ada nahin hota
ishq jab tak sharik-e-haal na ho
zindagi mein maza nahin hota
zulm dil par wo kitne hi Dhaen
dil ko un se gila nahin hota
wasl hota visal hota hai
aalam-e-dil mein kya nahin hota
dil pe jaisi balaen chhati hain
yun hujum-e-bala nahin hota
aao ab qasd-e-dair kar dekhen
yun dar-e-kaba wa nahin hota
rahbar tera kaun hoga 'junun'
dil hi jab rahnuma nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.