dard-e-dil se ho kinara ab hai mushkil
dard-e-dil se ho kināra ab hai mushkil
baat us kī ho gavāra ab hai mushkil
sach hai ik muddat se tanhā jī rahe haiñ
bin tire jiinā hamārā ab hai mushkil
maut kī hai badduā ye ġham judā.ī
saath chal kar ho guzārā ab hai mushkil
ishq ko hālāt le aa.e yahāñ tak
ishq meñ koī ḳhasāra ab hai mushkil
soch kī tahrīr letā thā kabhī paḌh
pyaar kā samjhe ishāra ab hai mushkil
chashm-e-tar hotī mohabbat meñ hai sāgar
bahte ashkoñ kā favāra ab hai mushkil
choT siine pe lagāte ho 'mudassir'
ishq tum se ho dobāra ab hai mushkil
dard-e-dil se ho kinara ab hai mushkil
baat us ki ho gawara ab hai mushkil
sach hai ek muddat se tanha ji rahe hain
bin tere jina hamara ab hai mushkil
maut ki hai baddua ye gham judai
sath chal kar ho guzara ab hai mushkil
ishq ko haalat le aae yahan tak
ishq mein koi KHasara ab hai mushkil
soch ki tahrir leta tha kabhi paDh
pyar ka samjhe ishaara ab hai mushkil
chashm-e-tar hoti mohabbat mein hai sagar
bahte ashkon ka fawara ab hai mushkil
choT sine pe lagate ho 'mudassir'
ishq tum se ho dobara ab hai mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.