dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya
dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya
jab tirā tīr-e-nazar yaad aaya
ḳhāna-barbād vahāñ ab kyā hai
kaun sī baat pe ghar yaad aaya
jiite jī aap ne pūchhā mujh ko
lī kabhī ḳhair-ḳhabar yaad aaya
yaad aaya hameñ ik naqsh-e-qadam
hāsil-e-rāh-e-guzar yaad aaya
naḳhl-e-ulfat kī jo yaad aa.ī hameñ
jo milā thā vo samar yaad aaya
mujh se ho jā.egī ulfat ik din
baar baar us ko agar yaad aaya
maiñ qafas meñ bhī chunūñgā tinke
āshiyāñ mujh ko agar yaad aaya
jab gayā sar se ḳhudī kā saudā
ham ko allāh kā ghar yaad aaya
haath uThāte hī milā dil ko sukūñ
kyā duāoñ kā asar yaad aaya
be-ḳhud-e-shauq rahe ham jab tak
ḳhair yaad aa.ī na shar yaad aaya
apnī be-rāh-ravī par 'ḳhushtar'
sheva-e-ahl-e-hunar yaad aaya
dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya
jab tera tir-e-nazar yaad aaya
KHana-barbaad wahan ab kya hai
kaun si baat pe ghar yaad aaya
jite ji aap ne puchha mujh ko
li kabhi KHair-KHabar yaad aaya
yaad aaya hamein ek naqsh-e-qadam
hasil-e-rah-e-guzar yaad aaya
naKHl-e-ulfat ki jo yaad aai hamein
jo mila tha wo samar yaad aaya
mujh se ho jaegi ulfat ek din
bar bar us ko agar yaad aaya
main qafas mein bhi chununga tinke
aashiyan mujh ko agar yaad aaya
jab gaya sar se KHudi ka sauda
hum ko allah ka ghar yaad aaya
hath uThate hi mila dil ko sukun
kya duaon ka asar yaad aaya
be-KHud-e-shauq rahe hum jab tak
KHair yaad aai na shar yaad aaya
apni be-rah-rawi par 'KHushtar'
shewa-e-ahl-e-hunar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.