dard-e-dil us se bayan karta hai nadan koi
dard-e-dil us se bayan karta hai nadan koi
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
dard-e-dil us se bayāñ kartā hai nādāñ koī
sun ke jo kah de ki us kā nahīñ darmāñ koī
daulat-e-hosh-o-ḳhirad bhī vo luTā dete haiñ
tere dīvāne nahīñ rakhte haiñ sāmāñ koī
naza.a meñ pesh-e-nazar aa.ina a.amāl kā hai
pūchhte kyā ho ki hai kis liye hairāñ koī
bhuul kar bhī nahīñ aatā hai rihā.ī kā ḳhayāl
yā-rab itnā bhī na ho ḳhūgar-e-zindāñ koī
dafn haiñ hasrat-o-armāñ kī hazāroñ lāsheñ
dil se pahlū meñ ki hai gor-e-ġharībāñ koī
hasrateñ us dil-e-nākām kī allah allāh
jis kā niklā hī na ho dahr meñ armāñ koī
naza.a meñ kaash kisī ne bhī to pūchhā hotā
marne vaale tire dil meñ bhī hai armāñ koī
is tarah rakhtā huuñ dil meñ ruḳh-e-pur-nūr kī yaad
jaise siine se lagā.e hue qur.āñ koī
apne begāne kā jhagḌā hī miTā do 'vāsif'
aao ābād karo chal ke bayābāñ koī
dard-e-dil us se bayan karta hai nadan koi
sun ke jo kah de ki us ka nahin darman koi
daulat-e-hosh-o-KHirad bhi wo luTa dete hain
tere diwane nahin rakhte hain saman koi
naza mein pesh-e-nazar aaina aamal ka hai
puchhte kya ho ki hai kis liye hairan koi
bhul kar bhi nahin aata hai rihai ka KHayal
ya-rab itna bhi na ho KHugar-e-zindan koi
dafn hain hasrat-o-arman ki hazaron lashen
dil se pahlu mein ki hai gor-e-ghariban koi
hasraten us dil-e-nakaam ki allah allah
jis ka nikla hi na ho dahr mein arman koi
naza mein kash kisi ne bhi to puchha hota
marne wale tere dil mein bhi hai arman koi
is tarah rakhta hun dil mein ruKH-e-pur-nur ki yaad
jaise sine se lagae hue quran koi
apne begane ka jhagDa hi miTa do 'wasif'
aao aabaad karo chal ke bayaban koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.