Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin

Mansoor Khushtar

dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin

Mansoor Khushtar

MORE BYMansoor Khushtar

    dard-e-dil zaḳhm-e-jigar rāzdāñ koī nahīñ

    vāqif-e-asrār-e-ġham āzār-e-jāñ koī nahīñ

    paas jis ke kuchh nahīñ māl-o-matā-e-be-bahā

    us ko kyā ġham ki muhāfiz pāsbāñ koī nahīñ

    kyā sulūk ham-sā.e batlā.e ik ḳhāna-ba-dosh

    be-dar-o-dīvār jis makāñ koī nahīñ

    daad ke laa.iq amīr-e-shahr zaat hai

    kyūñki ab fōtpath par bhī be-amāñ koī nahīñ

    ḳhāna-e-dil tak mire koī gayā to hai zarūr

    naqsh chhoḌā hai lekin nishāñ koī nahīñ

    roz kuchh aise guzarte is jahāñ se haiñ zarūr

    haa.e jis rone vaalā nauha-ḳhvāñ koī nahīñ

    aabrū allāh ne 'ḳhushtar' jabīñ rakkhī hai

    jis is dar ke sivā hai āstāñ koī nahīñ

    dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin

    waqif-e-asrar-e-gham aazar-e-jaan koi nahin

    pas jis ke kuchh nahin mal-o-mata-e-be-baha

    us ko kya gham ki muhafiz pasban koi nahin

    kya suluk ham-sae ka batlae ek KHana-ba-dosh

    be-dar-o-diwar sa jis ka makan koi nahin

    dad ke laiq amir-e-shahr hi ki zat hai

    kyunki ab footpath par bhi be-aman koi nahin

    KHana-e-dil tak mere koi gaya to hai zarur

    naqsh pa ka chhoDa hai lekin nishan koi nahin

    roz kuchh aise guzarte is jahan se hain zarur

    hae jis ka rone wala nauha-KHwan koi nahin

    aabru allah ne 'KHushtar' jabin ki rakkhi hai

    jis ka is dar ke siwa hai aastan koi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now