dard-e-furqat ka mudawa nahin hone dete
dard-e-furqat kā mudāvā nahīñ hone dete
ye masīhā mujhe achchhā nahīñ hone dete
ye zamāne ke taqāze ye rivāyāt-e-jahāñ
jaisā maiñ huuñ mujhe vaisā nahīñ hone dete
dil to aksar mujhe is moḌ pe laatā hai magar
mere aañsū mujhe rusvā nahīñ hone dete
maiñ kisī aur kā ho jā.ūñ ye kab mumkin hai
ḳhvāb mere mujhe apnā nahīñ hone dete
us kī furqat meñ guzāre hue lamhoñ ke nuqūsh
ek lamha mujhe tanhā nahīñ hone dete
ḳhaak hone nahīñ dete mujhe arbāb-e-nazar
kīmiyā-gar mujhe suunā nahīñ hone dete
ham meñ aksar se ḳhatā hotī hai sarzad ye 'shahāb'
ḳhud se ham ḳhud ko shanāsā nahīñ hone dete
dard-e-furqat ka mudawa nahin hone dete
ye masiha mujhe achchha nahin hone dete
ye zamane ke taqaze ye riwayat-e-jahan
jaisa main hun mujhe waisa nahin hone dete
dil to aksar mujhe is moD pe lata hai magar
mere aansu mujhe ruswa nahin hone dete
main kisi aur ka ho jaun ye kab mumkin hai
KHwab mere mujhe apna nahin hone dete
us ki furqat mein guzare hue lamhon ke nuqush
ek lamha mujhe tanha nahin hone dete
KHak hone nahin dete mujhe arbab-e-nazar
kimiya-gar mujhe suna nahin hone dete
hum mein aksar se KHata hoti hai sarzad ye 'shahab'
KHud se hum KHud ko shanasa nahin hone dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.