dard-e-furqat se jo bhi ghabrae
dard-e-furqat se jo bhī ghabrā.e
ishq us ko kabhī na raas aa.e
baat hī ham-nafas kuchh aisī thī
jā ke mahfil se ham jo lauT aa.e
us nasheman kī shaan kyā hogī
barq rah rah ke jis pe lahrā.e
raushnī kā nishāñ nahīñ miltā
har taraf zulmatoñ ke haiñ saa.e
terā dar chhoḌ kar ai jān-e-vafā
koī jaa.e to phir kahāñ jaa.e
yā-ḳhudā umr ho darāz us kī
dushmanī kī jo aag bhaḌkā.e
ḳhvāb meñ un ke āstāne par
sajda-e-shauq ham guzār aa.e
jaane kyā ho gayā mujhe 'anjum'
aañkh bhar aa.ī jab vo yaad aa.e
dard-e-furqat se jo bhi ghabrae
ishq us ko kabhi na ras aae
baat hi ham-nafas kuchh aisi thi
ja ke mahfil se hum jo lauT aae
us nasheman ki shan kya hogi
barq rah rah ke jis pe lahrae
raushni ka nishan nahin milta
har taraf zulmaton ke hain sae
tera dar chhoD kar ai jaan-e-wafa
koi jae to phir kahan jae
ya-KHuda umr ho daraaz us ki
dushmani ki jo aag bhaDkae
KHwab mein un ke aastane par
sajda-e-shauq hum guzar aae
jaane kya ho gaya mujhe 'anjum'
aankh bhar aai jab wo yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.