dard had se guzar na jae kahin
dard had se guzar na jaa.e kahīñ
aa ki bīmār mar na jaa.e kahīñ
hosh kar hosh kar marīz-e-alam
zaḳhm dil kā ye bhar na jaa.e kahīñ
ek hī dar se mil gayā sab kuchh
māñgne dar-ba-dar na jaa.e kahīñ
aap ko dekhne ke baa'd nazar
ab idhar aur udhar na jaa.e kahīñ
tīra-baḳhtī pe mat hañso merī
phir muqaddar sañvar na jaa.e kahīñ
apne gesū sañvār mauj-e-'nasīm'
zulf khul kar bikhar na jaa.e kahīñ
dard had se guzar na jae kahin
aa ki bimar mar na jae kahin
hosh kar hosh kar mariz-e-alam
zaKHm dil ka ye bhar na jae kahin
ek hi dar se mil gaya sab kuchh
mangne dar-ba-dar na jae kahin
aap ko dekhne ke ba'd nazar
ab idhar aur udhar na jae kahin
tira-baKHti pe mat hanso meri
phir muqaddar sanwar na jae kahin
apne gesu sanwar mauj-e-'nasim'
zulf khul kar bikhar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.