dard had se nikal gaya shayad
dard had se nikal gayā shāyad
mere sheroñ meñ Dhal gayā shāyad
aa raheñ haiñ zamīñ pe taare bhī
koī bachcha machal gayā shāyad
aag itnī thī mere ashkoñ meñ
un kā dāman bhī jal gayā shāyad
jis ko kirdār bhī badalnā thā
sirf kapḌe badal gayā shāyad
toḌ baiThā zamīn se rishta
kuchh ziyāda uchhal gayā shāyad
ik gulistān thā mire andar
kuchh nigāhoñ meñ khal gayā shāyad
pyaar pā kar ke koh-e-nafrat bhī
barf jaisā pighal gayā shāyad
mil ga.ī hai duā buzurgoñ kī
ab burā vaqt Tal gayā shāyad
lafz 'sājid' bahut pareshāñ haiñ
koī misl-e-ġhazal gayā shāyad
dard had se nikal gaya shayad
mere sheron mein Dhal gaya shayad
aa rahen hain zamin pe tare bhi
koi bachcha machal gaya shayad
aag itni thi mere ashkon mein
un ka daman bhi jal gaya shayad
jis ko kirdar bhi badalna tha
sirf kapDe badal gaya shayad
toD baiTha zamin se rishta
kuchh ziyaada uchhal gaya shayad
ek gulistan tha mere andar
kuchh nigahon mein khal gaya shayad
pyar pa kar ke koh-e-nafrat bhi
barf jaisa pighal gaya shayad
mil gai hai dua buzurgon ki
ab bura waqt Tal gaya shayad
lafz 'sajid' bahut pareshan hain
koi misl-e-ghazal gaya shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.