dard hai dard se juda hai dil
dard hai dard se judā hai dil
ek patthar sā ban gayā hai dil
ek taklīf bārhā sah kar
tere baare meñ sochtā hai dil
āḳhirash aap ne bhī Thukrāyā
maiñ ne sochā thā aap kā hai dil
ghar talak aatā hai ġhubār-e-ġham
jab bhī sāhil se lauTtā hai dil
TūTtā jā rahā har ik patthar
itnī shiddat se ro rahā hai dil
vaise sahrā meñ aur kuchh bhī nahīñ
in parindoñ se lag gayā hai dil
zulm qismat ke yaad aate haiñ
jism jab bhī ye dekhtā hai dil
dard hai dard se juda hai dil
ek patthar sa ban gaya hai dil
ek taklif barha sah kar
tere bare mein sochta hai dil
aaKHirash aap ne bhi Thukraya
main ne socha tha aap ka hai dil
ghar talak aata hai ghubar-e-gham
jab bhi sahil se lauTta hai dil
TuTta ja raha har ek patthar
itni shiddat se ro raha hai dil
waise sahra mein aur kuchh bhi nahin
in parindon se lag gaya hai dil
zulm qismat ke yaad aate hain
jism jab bhi ye dekhta hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.