dard hi se faqat bani ho kya
dard hī se faqat banī ho kyā
zindagī itnī hī burī ho kyā
tum se itnā lagāv kyoñ hai mujhe
tum mirī ruuh meñ basī ho kyā
hāl-e-dil to chhupā chukā thā maiñ
tum mirī āñkheñ paḌh rahī ho kyā
gaañv kab kā ujaḌ gayā bhaa.ī
shahr se lauTe hī abhī ho kyā
chubh rahī haiñ ye dhaḌkaneñ bhī ab
dil ke TukḌe hī kar ga.ī ho kyā
dūsre kitne mil ga.e hoñge
ab use merī hī kamī ho kyā
ho ga.ī hai to maan le ġhalatī
terī har baat ab sahī ho kyā
ashk kāġhaz bhigo rahe haiñ kyoñ
'zaif' kī nazm paḌh rahī ho kyā
dard hi se faqat bani ho kya
zindagi itni hi buri ho kya
tum se itna lagaw kyon hai mujhe
tum meri ruh mein basi ho kya
haal-e-dil to chhupa chuka tha main
tum meri aankhen paDh rahi ho kya
ganw kab ka ujaD gaya bhai
shahr se lauTe hi abhi ho kya
chubh rahi hain ye dhaDkanen bhi ab
dil ke TukDe hi kar gai ho kya
dusre kitne mil gae honge
ab use meri hi kami ho kya
ho gai hai to man le ghalati
teri har baat ab sahi ho kya
ashk kaghaz bhigo rahe hain kyon
'zaif' ki nazm paDh rahi ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.