dard hi zist ka unwan hua jata hai
dard hī ziist kā unvān huā jaatā hai
kaun paivast-e-rag-e-jān huā jaatā hai
dil uchhaltā hai ḳhushī se ki vahī shoḳh hasīñ
merī tanhā.ī kā mehmān huā jaatā hai
ik irāda hai ki āġhosh-dar-āġhosh huā
ek lamha hai ki rūmān huā jaatā hai
ek mastī hai ki āñkhoñ meñ bharī rahtī hai
ik tabassum ki ḳhumistān huā jaatā hai
sharm ke bojh se palkoñ kā kabhī jhuk jaanā
maut kā apnī ye sāmān huā jaatā hai
haa.e kyā mahshar-e-ḳhāmosh jagāyā tū ne
dil ke āshob pe ehsān huā jaatā hai
jitnā dukh thā mire siine meñ simaT aaya hai
ik nirālā sā ye mehmān huā jaatā hai
maiñ shahīd-e-rah-e-ulfat huuñ azal se 'sarmad'
yahī maslak mirā īmān huā jaatā hai
dard hi zist ka unwan hua jata hai
kaun paiwast-e-rag-e-jaan hua jata hai
dil uchhalta hai KHushi se ki wahi shoKH hasin
meri tanhai ka mehman hua jata hai
ek irada hai ki aaghosh-dar-aghosh hua
ek lamha hai ki ruman hua jata hai
ek masti hai ki aankhon mein bhari rahti hai
ek tabassum ki KHumistan hua jata hai
sharm ke bojh se palkon ka kabhi jhuk jaana
maut ka apni ye saman hua jata hai
hae kya mahshar-e-KHamosh jagaya tu ne
dil ke aashob pe ehsan hua jata hai
jitna dukh tha mere sine mein simaT aaya hai
ek nirala sa ye mehman hua jata hai
main shahid-e-rah-e-ulfat hun azal se 'sarmad'
yahi maslak mera iman hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.