dard ho ya gham ata ho kuchh to ho
dard ho yā ġham atā ho kuchh to ho
yā ḳhushī kī intihā ho kuchh to ho
ghuT rahā hai dam darīcha khol do
thoḌī sī taaza havā ho kuchh to ho
phir vahī lutf-o-karam darkār hai
aarzī yā der-pā ho kuchh to ho
chhā na jaa.e yuuñ añdherā phir kahīñ
raushnī ko ik diyā ho kuchh to ho
daad yā bedād jo hai de hī do
vo karam ho yā sazā ho kuchh to ho
yā kareñ ġharqāb apne haath se
yā sahārā aap kā ho kuchh to ho
phir mohabbat kī nazar se dekhiye
phir vahī pahlī ḳhatā ho kuchh to ho
dard-e-dil ko bas shifā matlūb hai
ab davā ho yā duā ho kuchh to ho
dard ho ya gham ata ho kuchh to ho
ya KHushi ki intiha ho kuchh to ho
ghuT raha hai dam daricha khol do
thoDi si taza hawa ho kuchh to ho
phir wahi lutf-o-karam darkar hai
aarzi ya der-pa ho kuchh to ho
chha na jae yun andhera phir kahin
raushni ko ek diya ho kuchh to ho
dad ya bedad jo hai de hi do
wo karam ho ya saza ho kuchh to ho
ya karen gharqab apne hath se
ya sahaara aap ka ho kuchh to ho
phir mohabbat ki nazar se dekhiye
phir wahi pahli KHata ho kuchh to ho
dard-e-dil ko bas shifa matlub hai
ab dawa ho ya dua ho kuchh to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.