dard ek roz koi rang dikhae to bane
dard ik roz koī rañg dikhā.e to bane
ruuh gar chhoḌ ke tan dahr meñ aa.e to bane
nazar aa.eñ tire chehre ke ḳhad-o-ḳhāl tamām
dil se uTh jaa.eñ kabhī vahm ke saa.e to bane
vahdat-e-dard ho qariyoñ meñ havā kī mānind
ek ho jaa.eñ agar apne parā.e to bane
vā.izāñ muzhda ki jannat meñ bahār aa.ī hai
merī duniyā se ḳhizāñ lauT ke jaa.e to bane
dev-e-taqdīr khaḌā hai mere aage har dam
koī tadbīr ise zahr pilā.e to bane
jis ko dekhā kisī murde kā muqallid dekhā
apnī ho jaa.e har ik shaḳhs kī raa.e to bane
sab ke dukh suntā huuñ maiñ zo.af-e-za.īfī meñ vale
merā dukh koī mirī maañ ko sunā.e to bane
apne a.amāl ko auroñ se chhupā rakkhā hai
merī niyyat ko koī mujh se chhupā.e to bane
maiñ banātā to bahut huuñ nahīñ bantī lekin
vo ināyat se mirī baat banā.e to bane
dard ek roz koi rang dikhae to bane
ruh gar chhoD ke tan dahr mein aae to bane
nazar aaen tere chehre ke KHad-o-KHal tamam
dil se uTh jaen kabhi wahm ke sae to bane
wahdat-e-dard ho qariyon mein hawa ki manind
ek ho jaen agar apne parae to bane
waizan muzhda ki jannat mein bahaar aai hai
meri duniya se KHizan lauT ke jae to bane
dew-e-taqdir khaDa hai mere aage har dam
koi tadbir ise zahr pilae to bane
jis ko dekha kisi murde ka muqallid dekha
apni ho jae har ek shaKHs ki rae to bane
sab ke dukh sunta hun main zoaf-e-zaifi mein wale
mera dukh koi meri man ko sunae to bane
apne aamal ko auron se chhupa rakkha hai
meri niyyat ko koi mujh se chhupae to bane
main banata to bahut hun nahin banti lekin
wo inayat se meri baat banae to bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.