dard jitne bhi maine pale hain
dard jitne bhī maiñ ne paale haiñ
mere maazī ke sab havāle haiñ
mere zaḳhmoñ kī dāstāñ in meñ
merī ġhazloñ ke jo risāle haiñ
ġham jo hāsil hue zamāne se
qā'ede se unheñ sañbhāle haiñ
kauḌiyoñ meñ vo bik ga.e āḳhir
jin ko samjhā thā saakh vaale haiñ
duur manzil se rah gayā lekin
us ke paañv meñ ab bhī chhāle haiñ
jin kī dete ho tum misāleñ vo
saare manzar mire khañgāle haiñ
ranj un ko 'nazar' hai is kā bhī
merī thālī meñ kuchh nivāle haiñ
dard jitne bhi main ne pale hain
mere mazi ke sab hawale hain
mere zaKHmon ki dastan in mein
meri ghazlon ke jo risale hain
gham jo hasil hue zamane se
qa'ede se unhen sanbhaale hain
kauDiyon mein wo bik gae aaKHir
jin ko samjha tha sakh wale hain
dur manzil se rah gaya lekin
us ke panw mein ab bhi chhaale hain
jin ki dete ho tum misalen wo
sare manzar mere khangale hain
ranj un ko 'nazar' hai is ka bhi
meri thaali mein kuchh niwale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.