dard ka aabshaar jari hai
dard kā ābshār jaarī hai
tum bhī ho raat bhī tumhārī hai
sub.h kī niiñd vaqt kī ḳhushbū
tum Thahar jaao to hamārī hai
tirī har baat jabr kī pāband
tirī har baat iḳhtiyārī hai
kis ne ye faisla kiyā hogā
kyuuñ mirī zindagī tumhārī hai
sher ke dāḳhlī tarannum meñ
ik sukūñ-ḳhez be-qarārī hai
rāt-din us ko yaad kartā huuñ
vaqt par jis kī shahryārī hai
jagmagātā hai āsmān 'munīr'
aur añdherā galī pe taarī hai
dard ka aabshaar jari hai
tum bhi ho raat bhi tumhaari hai
subh ki nind waqt ki KHushbu
tum Thahar jao to hamari hai
teri har baat jabr ki paband
teri har baat iKHtiyari hai
kis ne ye faisla kiya hoga
kyun meri zindagi tumhaari hai
sher ke daKHli tarannum mein
ek sukun-KHez be-qarari hai
raat-din us ko yaad karta hun
waqt par jis ki shahryari hai
jagmagata hai aasman 'munir'
aur andhera gali pe tari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.