Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ka mere mudawa wo karen ya na karen

Wafa Lakhnavi

dard ka mere mudawa wo karen ya na karen

Wafa Lakhnavi

MORE BYWafa Lakhnavi

    dard mere mudāvā vo kareñ na kareñ

    maiñ huuñ mashkūr dam-e-naz.a jo pardā na kareñ

    mai se labrez ināyat jo vo paimāna kareñ

    vā.izā nosh use rind kareñ na kareñ

    ishq-e-sādiq jo zarā apnā asar dikhlā de

    be-hijāb aa.eñ nazar vo kabhī pardā na kareñ

    fasl-e-gul aa.e bhī sayyād agar gulshan meñ

    ham vo bulbul haiñ rihā.ī tamanna na kareñ

    tere kūche meñ jo mil jaa.e jagah marqad

    bāġh-e-firdaus ushshāq tamanna na kareñ

    jalva-gar dil meñ hai jin ke kisī sūrat vo

    ruḳh haram na kareñ azm-e-kalīsā na kareñ

    tere kūche meñ mayassar hai jinheñ roz tavāf

    ka.abe samt vo bhūle se bhī sajda na kareñ

    us dīdār kisī tarah nahīñ mumkin hai

    shakl-e-ā.īna jo ham dil ko musaffā na kareñ

    yaar bālīñ pe hai Thahreñ malak-ul-maut zarā

    ruuh ke qabz kuchh der irāda na kareñ

    dam mehmān huuñ dam lab pe hai ai jān-e-jahāñ

    aap ghar jaane is vaqt irāda na kareñ

    marte dam naam tirā muñh se nikal jaa.e agar

    phir nakīrain lahad meñ koī jhagḌā na kareñ

    dair-o-ka.aba to haqīqat meñ haiñ us ke ghar meñ

    bāhamī gabr-o-musalmāñ koī jhagḌā na kareñ

    dard ka mere mudawa wo karen ya na karen

    main hun mashkur dam-e-naza jo parda na karen

    mai se labrez inayat jo wo paimana karen

    waiza nosh use rind karen ya na karen

    ishq-e-sadiq jo zara apna asar dikhla de

    be-hijab aaen nazar wo kabhi parda na karen

    fasl-e-gul aae bhi sayyaad agar gulshan mein

    hum wo bulbul hain rihai ki tamanna na karen

    tere kuche mein jo mil jae jagah marqad ki

    bagh-e-firdaus ki ushshaq tamanna na karen

    jalwa-gar dil mein hai tu jin ke kisi surat wo

    ruKH haram ka na karen azm-e-kalisa na karen

    tere kuche mein mayassar hai jinhen roz tawaf

    kabe ki samt wo bhule se bhi sajda na karen

    us ka didar kisi tarah nahin mumkin hai

    shakl-e-aina jo hum dil ko musaffa na karen

    yar baalin pe hai Thahren malak-ul-maut zara

    ruh ke qabz ka kuchh der irada na karen

    dam ka mehman hun dam lab pe hai ai jaan-e-jahan

    aap ghar jaane ka is waqt irada na karen

    marte dam nam tera munh se nikal jae agar

    phir nakirain lahad mein koi jhagDa na karen

    dair-o-kaba to haqiqat mein hain us ke ghar mein

    bahami gabr-o-musalman koi jhagDa na karen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now